Badi Barbadiya Le Kar Meri Duniya Me Pyar Aaya Lyrics | Dhun | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Badi Barbadiya Le Kar Meri Duniya Me Pyar Aaya Lyrics | Dhun | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Badi barbaadiya le kar meri duniya mein pyaar aaya
Hansi ek baar aayi hai
To rona lakh baar aaya
Badi barbaadiya le kar

Bhara ashkon se vo daman jise phulon se bharna tha
Bhara ashkon se vo daman jise phulon se bharna tha
Mujhe is bevafa duniya pe rona baar baar aaya
Badi barbaadiya le kar meri duniya mein pyaar aaya
Badi barbaadiya le kar

Vafa tadpi kushi royi lute armaan hansi duniya
Vafa tadpi kushi royi lute armaan hansi duniya
Jo aansu aankh mein aaya
Vo ho kar beqaraar aaya
Badi barbaadiya le kar meri duniya mein pyaar aaya
Hansi ek baar aayi hai
To rona lakh baar aaya
Badi barbaadiya le kar

MovieDhun
SingerLata Mangeshkar
DirectorM. Kumar
Music ComposerMadan Mohan
LyricistKaif Irfani
Star CastRaj Kapoor, Nargis, Motilal, Cuckoo, Pramila Mehra, Gulab, E Billimoria, Kumar, Kamal Mehra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *