Aayi Baharon Ki Shaam Lyrics  | Wapas | Shekhar Purohit, Azra | Mohammed Rafi | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Aayi Baharon Ki Shaam Lyrics | Wapas | Shekhar Purohit, Azra | Mohammed Rafi | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Aayi baharon ki shaam
Aayi baharon ki shaam, kya jaane,
Phir kiske naam,
Tandi hawa, bheegi fiza,
Laayi hai phir, kiska salaam

Aayi baharon ki sham, kya jaane,
Phir kiske naam,
Aayi baharon ki sham

Sitaron ne bandha gagan par,
Sama jaise khilte gulon ka,
Sunsan sapnon bhari aadiyon mein,
Chandnise sajhe raaston ka,
Ghata ne kiya intazaam, kya jaane,
Phir kiske naam,
Aayi baharon ki shaam

Mein gaata hun kis dilruba ki,
Mohobbat ki rangeen tarane,
Kaun aanewala hai tanhaaiyon mein,
Chupke chupke yeh dil mein na jaane,
Dhadaktha hai kiska payaam, kya jaane,
Phir kiske naam,
Tandi hawa, bheegi fiza,
Laayi hai phir, kiska salaam,

Aayi baharon ki shaam, kya jaane,
Phir kiske naam,
Aayi baharon ki shaam.

MovieWapas
SingerMohammed Rafi
DirectorSatyen Bose
Music ComposerLaxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
LyricistMajrooh Sultanpuri
Star CastShekhar Purohit, Azra, Satyajeet
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *