Aa Aa Aa Aa
Jo Gujar Rahi Hai Mujhpar
Use Kaise Main Bataau - (2)
Woh Khushi Mili Hai Mujhko
Main Khushi Se Mar Na Jaau - (2)
Mere Dil Ki Dhadkano Ka Yeh Payaam Tumko Pahunche
Main Tumhaara Hamnashi Hu
Yeh Salaam Tumko Pahunche
Use Bandagi Main Samajhu Jo Tumhaare Kaam Aanu
Woh Khushi Mili Hai Mujhko
Main Khushi Se Mar Na Jaau
Jo Gujar Rahi Hai Mujhpar
Use Kaise Main Bataau
Meri Jindagi Mein Humdam Kabhi Ghum Na Tum Uthaana
Kabhi Aaye Jo Andhere Mujhe Pyaar Se Bulaana
Main Chiraag Hoon Wafa Ka
Main Andhere Jagmagaau
Woh Khushi Mili Hai Mujhko
Main Khushi Se Mar Na Jaau
Jo Gujar Rahi Hai Mujhpar
Use Kaise Main Bataau
Mere Dil Ki Mehfilon Mein Woh Makaam Hai Tumhaara
Ke Khuda Ke Baad Lab Par Bas Naam Hai Tumhaara
Meri Aarju Yahi Hai Main Tumhaare Geet Gaau
Woh Khushi Mili Hai Mujhko
Main Khushi Se Mar Na Jaau
Jo Gujar Rahi Hai Mujhpar
Use Kaise Main Bataau
Woh Khushi Mili Hai Mujhko
Main Khushi Se Mar Na Jaau
Woh Khushi Mili Hai Mujhko Main Khushi Se Mar Na Jau (Jo Gujar Rahi Hai Mujhpar) Song Lyrics from the movie/album Mere Huzoor released in the year 2019 starring Jeetendra, Mala Sinha. The song Woh Khushi Mili Hai Mujhko Main Khushi Se Mar Na Jau (Jo Gujar Rahi Hai Mujhpar) was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by Vinod Kumar. The music was given by Shankar Jaikishan. The lyrics were Penned by Hasrat Jaipuri
Share your thoughts