Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba, Tere Saamane Mera Haal Hain
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai, Meri Jindagi Ka Sawaal Hai
Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba
Meri Har Khushee Tere Dam Se Hai, Meri Jindagee Tere Gam Se Hain -(2)
Tere Dard Se Rahe Bekhabar, Mere Dil Ki Kab Yeh Majaal Hain
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai, Meri Jindagi Ka Sawaal Hai
Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba
Tere Husn Par Hain Meri Najar, Mujhe Subah Shaam Ki Kya Khabar – (2)
Meri Shaam Hain Teri Justaju, Meri Subah Tera Khayaal Hain
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai, Meri Jindagi Ka Sawaal Hai
Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba
Mere Dil Jigar Mein Sama Bhi Ja, Rahe Kyo Najar Ka Bhi Faasala – (2)
Ke Tere Bagair Toh Jaan-e-jaan, Mujhe Jindagi Bhee Muhaal Hai
Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba, Tere Saamane Mera Haal Hain
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai, Meri Jindagi Ka Sawaal Hai
Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba…….
Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba Song Lyrics from the movie/album Aakhri Dao. The song Tujhe Kyaa Sunaau Main Dilruba was sung by Mohammad Rafi. The music was given by Madan Mohan. The lyrics were Penned by Majrooh Sultanpuri
Share your thoughts