Phir Se Mausam Baharo Ka Aane Ko Hai
Phir Se Rangi Zamana Badal Jaayega
Phir Se Mausam Baharo Ka Aane Ko Hai
Phir Se Rangi Zamana Badal Jaayega
Abki Bazm-e-charago
Saja Lenge Hum
Ye Bhi Armaan Dil Ka Nikal Jaayega
Aap Kar De Jo
Mujh Par Nigahe Karam
Meri Ulfat Ka Reh Jayega Kuch Bharam
Aap Kar De Jo
Mujh Par Nigahe Karam
Meri Ulfat Ka Reh Jayega Kuch Bharam
Yu Fasana To Mera Rahega Wahi
Sirf Unwaan Uska Badal Jaayega
Fiki Fiki Si Kyu
Shaam-e-maikhana Hai
Lutf-e-saaqi Bhi Kam
Khaali Paimana Hai
Fiki Fiki Si Kyu
Shaam-e-maikhana Hai
Lutf-e-saaqi Bhi Kam
Khaali Paimana Hai
Apni Nazro Se Hi
Kuch Pila Dijiye
Rang Mehfil Ka Khud Hi Badal Jaayega
Mere Mitne Ka Unko
Zara Gam Nahi
Julf Bhi Unki Ae Dost Barham Nahi
Mere Mitne Ka Unko
Zara Gam Nahi
Julf Bhi Unki Ae Dost Barham Nahi
Apne Hone Na Hone Se
Hota Hai Kya
Kaam Duniya Ka
Yu Hi To Chal Jaayega
Aapne Dil Jo Zahid Ka Toda To Kya
Aapne Uski Duniya Ko
Chhoda To Kya
Aapne Dil Jo Zahid Ka Toda To Kya
Aapne Uski Duniya Ko
Chhoda To Kya
Aap Itne To Aakhir
Pareshan Na Ho
Wo Sambhalte Sambhalte
Sambhal Jayega
Phir Se Mausam Baharo Ka Aane Ko Hai
Phir Se Rangi Zamana Badal Jaayega
Abki Bazm-e-charago
Saja Lenge Hum
Ye Bhi Armaan Dil Ka Nikal Jaayega
Phir Se Mausam Baharo Ka Aane Ko Hai Song Lyrics from the movie/album Visions (Jagjit Singh) released in the year 2018. The song Phir Se Mausam Baharo Ka Aane Ko Hai was sung by Jagjit Singh. The music was given by Jagjit Singh. The lyrics were Penned by Zahid
Share your thoughts