Payaam E Ishq Mohabbat Song Lyrics from the movie/album Babar released in the year 2016 starring Jagirdar, Azra. The song Payaam E Ishq Mohabbat was sung by Sudha Malhotra. This movie/album was directed by Hemen Gupta. The music was given by Roshanlal Nagrath (Roshan). The lyrics were Penned by Sahir Ludhianvi. The music rights for song purely belongs to Saregama

Payaam E Ishq Mohabbat Lyrics

Payaam E Ishq O Mohabbat
Hamein Pasand Nahin
Payaam E Ishq O Mohabbat
Hamein Pasand Nahin
Ye Dillagi Ye Sharaarat
Hamein Pasand Nahin

Bajaa Nahin Tha Ye
Izhaar Beqaraari Ka
Lihaaz Kuchh To Kiya Hota
Parda Daari Ka
Hayaa Se Itni Baghaawat
Hamein Pasand Nahin
Payaam E Ishq O Mohabbat
Hamein Pasand Nahin

Hamein To Hans Ke
Sitaaron Ne Bhi Nahin Dekha
Hamein To Hans Ke
Sitaaron Ne Bhi Nahin Dekha
Nazar Mila Ke
Bahaaron Ne Bhi Nahin Dekha
Kisi Nigaah Ki Zurrat
Hamein Pasand Nahin
Ye Dillagi,
Ye Dillagi Ye Sharaarat
Hamein Pasand Nahin

Jo Takht O Taaj Ke Waaris Ho
Unka Pyaar Hi Kya
Badalane Waali Nigaahon Ka
Aitbaar Hi Kya
Huzoor Ki Ye Inaayat
Hamein Pasand Nahin
Payaam E Ishq O Mohabbat
Hamein Pasand Nahin.

Share your thoughts

This domain is not registered with Commento.
Sudha malhotra, Sudha malhotra songs, Jagirdar, Babar 1960, Payaam e ishq mohabbat, Babar movie songs, Sudha malhotra hindi songs, Tum ek baar mohabbat, Tum ek bar muhabbat ka mohammed rafi song, Tum ek baar muhabbat ka imtehaan to lo, Tum ek baar muhabbat ka, Babar 1960 songs, Sulochana choudhary, Prabodh chandra dey (manna dey), Asha bhosle, Badri prashad, Asha bhosle songs, Khwaja ahmad abbas, Tum maa ho tum esa na karo, Tum maa ho tum aisa na karo, Roshan