Paimaane Tut Gaye Song Lyrics from the movie/album Aafreen (Pankaj Udhas) released in the year 2018. The song Paimaane Tut Gaye was sung by Pankaj Udhas. The music was given by Pankaj Udhas. The lyrics were Penned by Mumtaz Rashid

Paimaane Tut Gaye Lyrics

Kaun Hai Jisne May Nahi Pee Hai
Kaun Jhuthi Kasam Uthata Hai
Maikade Se Jo Bach Nikalta Hai
Teri Aankhon Mein Dub Jaata Hai

Jab Ghir Ke Aayi Kaali Ghata
Rindo Ne Kaha Ji Bhar Ke Peela
Inkaar Kiya Jab Saaqi Ne
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye
Jab Ghir Ke Aayi Kaali Ghata
Rindo Ne Kaha Ji Bhar Ke Peela
Inkaar Kiya Jab Saaqi Ne
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye

Jab Aaye Sharaabi Masti Mein
Sab Dub Gaye Yu Masti Mein
Hungama Huwa Ek Basti Mein
Hungama Huwa Ek Basti Mein
Log Aaye Jab Maikhaane Tak
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye

Saaqi Ki Nakaab Ulatte Hi
Kimat Na Rahi Paimaane Ki
Raunak Hi Gayi Maikhaane Ki
Raunak Hi Gayi Maikhaane Ki
Sab Peene Lage Jab Aankhon Se
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye

Saaqi Ki Nazar Jab Tang Huyi
Sheesho Ki Kismat Sang Huyi
Yu Saari Faza Berang Huyi
Yu Saari Faza Berang Huyi
Maikhane Mein Aisi Jung Huyi
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye
Jab Ghir Ke Aayi Kaali Ghata
Rindo Ne Kaha Ji Bhar Ke Peela
Inkaar Kiya Jab Saaqi Ne
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye
Paimaane Tut Gaye

Share your thoughts

Pankaj udhas, Pankaj, Udhas, Pankaj udhas numaaish, Pankaj udhas ghazals, The legend forever - pankaj udhas - vol.2, Pankaj udhas songs, Best of pankaj udhas, Khuda ka shukar hai by pankaj udhas, Khuda ka shukr hai by pankaj udhas, Shisha kaha gaya [ghazal] by pankaj udhas, Nayaab pankaj udhas, Pankaj udhas nayaab album, Pankaj udhas nayaab songs, Pankaj udhas sharabi ghazals, Mahek pankaj udhas, Pankaj udhas playlist, Ghazals by pankaj udhas, Pankaj udhas ghazals 80s