Bichad Rahi Hai Do Mataye Apne Nayan Bhigoke
Ek Ne Apna Heera Paya Ek Khadi Hai Khoke
Mujhse Bichad Ke Dil Na Dukhana
Mujhse Bichad Ke Dil Na Dukhana
Beta Mujhko Bhul Jana
Mai Teri Koi Nahi Re Teri Koi Nahi
Jab Tu Apne Desh Ko Jana Mujhko Mat Aawaz Lagana
Mai Teri Koi Nahi Re Teri Koi Nahi
Jiska Khoya Hua Hai Dhan Tu Aaj Usi Ka Ho
Jiska Khoya Hua Hai Dhan Tu Aaj Usi Ka Ho
Mai To Kato Me Rah Lungi Tu Phulo Par So
Apni Maa Par Pyar Lutana Mera Nam Na Muh Par Lana
Mai Teri Koi Nahi Re Teri Koi Nahi
Tera Sukh Mere Sukh Se Bada Hai Ja Apne Ghar Ja
Tera Sukh Mere Sukh Se Bada Hai Ja Apne Ghar Ja
Teri Bhalai Ke Aage Mere Pyar Ki Kimat Kya
Mera Tujhse Pyar Badhana
Tha Ek Khush Rahne Ka Bahana
Mai Teri Koi Nahi Re Teri Koi Nahi
Jaha Kahi Bhi Rahe Tu Munna Hardum Khush Rahna
Jaha Kahi Bhi Rahe Tu Munna Hardum Khush Rahna
Sab Kuch Kahna Lekin Mujhko Pathar Mat Kahna
Jis Din Puche Tujhse Jamana To Bas Itni Bat Batana
Mai Teri Koi Nahi Re Teri Koi Nahi
Mujhse Bichad Ke Dil Na Dukhana
Beta Mujhko Bhul Jana Mai Teri Koi Nahi Re Teri Koi Nahi
Mujhse Bichad Ke Dil Na Dukhana Song Lyrics from the movie/album Amar Rahe Yeh Pyar released in the year 2018 starring Rajendra Kumar, Nalini Jaywant. The song Mujhse Bichad Ke Dil Na Dukhana was sung by Kavi Pradeep, Suman Kalyanpur. This movie/album was directed by Prabhu Dayal. The music was given by Chitalkar Ramchandra. The lyrics were Penned by Kavi Pradeep
Share your thoughts