Mahakavi Shri Vedvyas Ki Aarti Sabhi Utarat Hai
Jinki Lekhani Se Nikla
Ye Mahakavya Mahabharat Hai
Bahut Din Bite Purani Baat Hai
Aaj Tak Jo Vishav Mein Vikhyath Hai
Hastinapur Naam Ki Thi Ek Yahan Nagri Badi
Heere Pano Motiyo Ki Aab Se Jabmag Jadi
Jiske Upar Chandr Vanshi Rajao Ka Raaj Tha
Jiske Raja Pandu Par
Sari Praja Ko Naaz Tha
Is Katha Mein Zor Hai
Aandhiyo Ka Shor Hai
Bheem Arjun Ka Parakram
Draupadi Ki Hai Vyatha
Jisne Di Bharat Ko Geeta
Wo Mahabharat Katha
Ye Mahabharat Ki Katha
Ye Mahabharat Ki Katha
Pandu Se Pandav Huye
Dhritrashtra Se Kavrav Huye
Ek Zami Ke Kalank
Duje Jagat Ke Gaurav Huye
Dusht Duryodhan
Adharm Ki Raah Par Chalne Laga
Nij Chachere Bhaiyo Se
Vyarth Hi Jalne Laga
Kintu Pandu Sut Yudhisthir
Dharam Ke Avtaar The
Bhai Se Bhai Na Jhagde
Unke Shudh Vichar The
Krishna Ka Updesh Hai
Maanta Sab Desh Hai
Bheem Arjun Ka Parakram
Draupadi Ki Hai Vyatha
Jisne Di Bharat Ko Geeta
Wo Mahabharat Katha
Ye Mahabharat Ki Katha
Ye Mahabharat Ki Katha
Ae Rakhi Bandhwane Wale
Kahan Chhupe Ho Krishan Murar
Panch Pandavo Ki Panchali
Bhari Sabha Mein Kare Pukar
Dharmraj Bane Juvari
Jhuti Zid Par Ad Gaye
Pandavo Ki Akal Par Bhi
Haye Patthar Pad Gaye
Kauravo Ki Nagntha Par
Paap Ye Chadne Laga
Mahabharat Mein Pralay Ka
Beej Ye Padne Laga
Dusht Dushasan Adharmi
Vastra Keche Ja Raha Hai
Thak Gaye Ye Hath Par
Saadi Ka Ant Na Aa Raha
Purush Wo Hatho Mein Jinke
Dharam Ki Talvaar Ho
Inke Hatho Mein Hai Saadi
Veerta Dhikar Ho
Laaj Nari Ki Na Jaye
Jo Jagat Ki Maat Hai
Iski Izzat Abaru
Pyare Prabhu Ke Hath Hai
Shashtra Sab Yodha Liye
Chup Hai Sar Nicha Kiye
Chakrdhari Ne Mitayi
Draupadi Ki Ye Vyatha
Jisne Di Bharat Ko Geeta
Wo Mahabharat Katha
Ye Mahabharat Ki Katha
Ye Mahabharat Ki Katha
Sukh Jaata Hai
Dukh Aata
Dukh Jaata Hai
Sukh Aaata,
Kintu Pandavon Ke Jeevan Ka
Dukh Hi Dukh Se Naata,
Likha Bhagya Ka
Kabhi Na Tal Tha
Honahaar Hoti Hai,
Dekh Pandavon Ko Banavasi
Dharati Bhi Roti Hai,
Dharam Raj Kehelane Wale
Chhod Ke Ghar Sansaar Chale,
Sang Draupadi Ban Ban Bhatake
Raj Paat Sab Haar Chale,
Arjun Ka Ghandeev Aaj Nahin
Is Vipada Kaa Bhar Hare,
Gadha Bheem Ki Mahabali Ke
Kandhon Par Araam Kare,
Ab Na Mile
Aakash Hi Chat Hai
Dharti Inka Bichona Hai,
Raj Vanshiyon Ko Ab Tho
Ban Ke Kanton Par Sona Hai,
Bhari Baiti Door Anokhe
Beej Naye Boti Hai,
Dekh Pandavon Ko Banvasi
Dharati Bhi Roti Hai,
Jungle Mein Mangal Chaaya Hai
Bhulgaye Voh Pichle Pal,
Panchali Ke Liye Bheem
Nikale Hein Laane
Swarankamal,
Saamne Yeh Kaun Jiska
Rang Bhi Ranga Ang Hai,
Vridh Hai Vanar Magar
Kya Josh Hai Kya Umang Hai,
Puch Inki Shakti Shaali
Raah Mein Bajarang Hai,
Jai Pawan Putr Mahaan
Jai Jai Banture Balwaan,
Jai Hey Raam Priya Hanumaan,
Chakrvuh Ka Chakr Ghira Hai
Kavrav Dal Ki Chaal Hai,
Aaj Kaal Ki Chaati Par
Abhimanyu Jaisa Bal Hai,
Saamne Is Vuh Mein
Pehele Jaidrath Aagaye,
Veer Abhimanyu Ke Haathon
Yeh Bhi Muki Khagaye,
Pehele Socha Maar Daalun
Kya Yahi Satkarma Hai,
Phir Kaha Na Maarana
Murchit Ko Ghor Adharam Hai,
Chal-kapat Ki Yeh Ladaayi
Dekh Kar Hoti Vyatha,
Saat Yodhavon Se Ladate
Ek Balak Ki Katha,
Yeh Mahabharat Ki Katha
Yeh Mahabharat Ki Katha
Saamne Dekha Khade Yeh Karan Sar Uncha Liye,
Ban Abhimanyu Ka Chuta
Dhanush Ke Tukde Kiye,
Hila Dushasan Ka Aasan
Voh Bhi Bhaga Kampa Ke,
Kaun Aage Aayega
Jwalamukhi Is Aag Ke,
Ab-lo Dekho
Bha-na-jon (bhanjon) Ke
Pyaare Mama Aagaye,
Aaj Yeh Pase Na Palte
Ulte Jhasan Kha Gaye,
Idhar Dekho Dhanur Dhari
Shalya Saj-dhaj Kar Khada,
Yeh Bhi Toota Istarah
Jun Daal Se Pata Jhada,
Jwal Bhadaki Aaj Duryodhan Ki Bhi Na Khair Hai,
Aaj Vish Uglega Yeh
Sadiyon Purana Bair Hai,
Sab Ne Socha
Istarah
Balak Yeh Baaz Na Aayega,
Kutniti Se Ise
Maro
Tabhi Mar Jaayega,
Ik Taraf Saathon Maharathi
Ek Taraf Balak Akela,
Phir Bhi Jab Tak Pran Tan Mein
Kshatriyon Ka Khel Khela,
Vah Vah Pyare Bhatije
Tujh Se Ujwal Vansh Hai,
Aa Gale Mille Ghadi Bhar
Tu Humara Ansh Hai,
Is Tarah Ik Chaal Kapati
Chhali Duryodhan Chala,
Gale Milne Ke Bahane
Nij Bhatije Ko Chhala,
Pit Par Abhimanyu Ke
Ik Baan Dhoke Ka Chala
Mahabharat Katha Song Lyrics from the movie/album Mahabharat released in the year 2018 starring Pradeep Kumar, Padmini. The song Mahabharat Katha was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by Babubhai Mistri. The music was given by Chitragupt. The lyrics were Penned by Bharat Vyas
Share your thoughts