Jab Se Aai Jawani
Hui Duniya Diwani
Mera Ghar Se Niklna
Mera Ghar Se Niklna
Muskil Hua
Baake Albele Chhore Dale
Chhup Chhup Ke Dere
Mera Raste Se Chalna
Mera Raste Se Chalna
Muskil Huaa
Jab Se Aai Jawani
Hui Duniya Diwani
Anjane Pan Me Angadai Leke
Ek Din Jo Aina Dekha
Anjane Pan Me
Jaldi Se Pahne
Naye Naye Gahane
Fir Apna Rup Jara Dekha
Jaldi Se Pahne
Fir Maine Jhumke
Aina Chum Ke
Chehare Pe Daal Diya Anchal
Huye Kya Kya Guman
Karu Kaise Bayan
Dil Ka Ek Pal Bahlna
Dil Ka Ek Pal Bahlna
Muskil Huaa
Jab Se Aai Jawani
Hui Duniya Diwani
Us Din Na Jane
Kya Dil Me Aai
Banthan Ke Nikali Jo Ghar Se
Us Din Na Jane
Aage Badhi To
Takrai Nazren
Ik Ajnabi Ki Nazar Se
Aage Badhi To
Ik Pal Ke Bad Jo
Aya Karib Wo
Jaag Uthi Pyar Bhari Halchal
Usne Pakda Jo Haath
Muh Se Nikali Na Baat
Mujhse Mera Sambhlna
Mujhse Mera Sambhlna
Muskil Hua
Jab Se Aai Jawani
Hui Duniya Diwani
Har Shaam Unse
Milne Lagi Main
Jee Bharke Hone Lagi Baate
Har Sham Unse
Ye Chandani Thi
Bas Char Din Ki
Fir Aa Gayi Kali Rate
Ye Chandani Thi
Dil Mera Tod Ke
Bechain Chhod Ke
Aankho Se Huaa Koi Ojhal
Nahi Usko Khayal
Yaha Ab Hain Ye Hal
Mera Karvat Badlna
Mera Karvat Badlna
Muskil Hua
Jab Se Aai Jawani
Hui Duniya Diwani
Mera Ghar Se Niklna
Mera Ghar Se Niklna
Muskil Hua
Jab Se Aai Jawani
Hui Duniya Diwani
Jab Se Aayi Jawani Song Lyrics from the movie/album Insaaf released in the year 2018 starring Dara Singh Randhawa, Praveen Chaudhary. The song Jab Se Aayi Jawani was sung by Lata Mangeshkar. This movie/album was directed by Radhakant. The music was given by Usha Khanna. The lyrics were Penned by Asad Bhopali
Share your thoughts