Haseeno Ke Jalwe Song Lyrics from the movie/album Babar released in the year 2016 starring Jagirdar, Azra. The song Haseeno Ke Jalwe was sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey), Sudha Malhotra. This movie/album was directed by Hemen Gupta. The music was given by Roshanlal Nagrath (Roshan). The lyrics were Penned by Sahir Ludhianvi. The music rights for song purely belongs to Saregama

Haseeno Ke Jalwe Lyrics

Haseeno Ke Jalwe Pareshaan Rahte
Aaa, Ho
Haseeno Ke Jalwe Pareshaan Rahte
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Haseeno Ke Jalwe
Aaa
Muhabbat Se Tum Log Anjaan Rahte
Aaa, Haay
Muhabbat Se Tum Log Anjaan Rahte
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Muhabbat Se Tum Log Anjaan Rahte

Hamin Ne Tumhe Jaane Mehfil Banaaya
Nigaahon Ne Khulne Ke Qaabil Banaaya
Hamin Ne Sikhaaya Tumhe Waar Karna
Huye Qatl Aur Tumko Qaatil Banaaya
Huye Qatl Aur Tumko Qaatil Banaaya
Ye Sab Naazo Andaaz Bejaan Rahte
Bejaan Rahte O
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Haseeno Ke Jalwe Pareshaan Rahte

Aaa, Ho
Hamine Tumhe Pyaar Ki Roshni Di
Jo Aanchal Se Chhanti Hai Wo Chaandni Di
Nazar Se Jawaani Ki Shabnam Lutaake
Tamaana Ke Har Phool Ko Taazgi Di
Tamaana Ke Har Phool Ko Taazgi Di
Chaman Aarzuon Ke Weeran Rahte
Weeraan Rahte
Haan
Chaman Aarzuon Ke Weeran Rahte
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote

Agar Ham Na Hote To Kyaa Baat Banti
Syaah Zulf Kaise Haseera Ugalti
Agar Ham Na Chhahat Ke Kaseede Lutaate
Khuda Kis Tarah Husn Ki Baat Banti
Khuda Kis Tarah Husn Ki Baat Banti
Buton Ko Khudaayi Ke Armaan Rahte
Armaan Rahte Haan
Buton Ko Khudaayi Ke Armaan Rahte
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Haseeno Ke Jalwe Pareshaan Rahte

Aaa, Ho
Tumhe Hamne Jaadoo Bhare Khwaab Bakshe
Andheri Fizaaon Ko Mehtaab Bakshe
Dilon Ko Wafa Ka Saleeka Sikhaya
Dilon Ko Dhadakne Ke Aadaab Bakshe
Dilon Ko Dhadakne Ke Aadab Bakshe
Ye Naadaan Dil Yoon Hi Naadaan Rahte
Naadaan Rahte Haan
Ye Nadaan Dil Yoon Hi Nadaan Rahte
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Muhabbat Se Tum Log Anjaan Rahte
Jawaan Baajuon Ko Lachak Hamne Di Hai
Haseen Choodiyon Ko Khanak Hamne Di Hai
Hamin Ne Bharaa Loch In(?) Aayinon Me
Tumhe Bijliyon Ki Chamak Hamne Di Hai
Tumhe Bijliyon Ki Chamak Hamne Di Hai
Tum Is Husn Par Khud Pashemaan Rahte
Pashemaan Rahte Haan
Tum Is Husn Par Khud Pashemaan Rahte
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Haseeno Ke Jalwe Pareshaan Rahte

Aaa
Duaa Do Ke Tumko Muhabbat Sikhaadi
Murawwat Sikhaadi Sharaafat Sikhaa Di
Hamin Ne Tumhe Dhange Tahzeeb Baksha
Hamin Ne Tumhe Aadmiyat Sikhaadi
Hamin Ne Tumhe Aadmiyat Sikhaadi
Zamaane Mein Wahshat Ke Saamaan Rahte
Saamaan Rahte Haan
Zamaane Mein Wahshat Ke Saamaan Rahte
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham, Agar Ham
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Agar Ham Na Hote
Muhabbat Se Tum Log.

Share your thoughts

This domain is not registered with Commento.
Mohammed rafi, Haseeno ke jalwe, Jagirdar, Mohammed rafi songs, Asha bhosle, Babar 1960, Babar movie songs, Asha bhosle songs, Tum ek bar muhabbat ka mohammed rafi song, Best of rafi asha bhosle, Mohammad rafi sudha malhotra asha bhosle manna dey classic bollywood scores, Babar (1960) hasino ke jalve pareshan rehte agar hum na hote (from babar''), Hari shivdasani roshan, Babar 1960 songs, Asha bhosale, Best ofmaanna dey asha bhosale, Payaam e ishq mohabbat