Allah Bada Tu Hai Lyrics | Allah Bada Tu Hai | Mohammed Aziz, Alka Yagnik

Allah Bada Tu Hai Lyrics | Allah Bada Tu Hai | Mohammed Aziz, Alka Yagnik

Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah

Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai
Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai

Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai
Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai

Bando ko burai se
Allah bachana tu
Sacchai ke raste par
Hum sabko chalana tu

Maula tu hume rakhna
Rehmat ki panaho mein
Imaan pe rahe qayam
Dube na gunaaho mein

Gafil na rahe maula
Hum teri ibadat se
Hum paaye karam tera
Quraan ki tilawat se

Imaan pe jiye maula,
Imaan pe mar jaaye
Awaaz tujhi ko de
Hum chahe jidhar jaaye

Har ek jagah tu hai
Har dil ki sada tu hai

Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai
Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai

Jab aadamo hawwa ne
Ro ro ke dua mangi
Dono ko milaya aur
Dono ki khata bakhshi

Tu nooh ki kashti ka
Toofan mein sahara tha
Baroon ko mere maula
Tune hi utara tha

Daale gaye sholo mein
Jis waqt khalil ullah
Woh aag hui gulshan
Rehmat se teri allah

Ayyub ko mushkil mein
Tune hi sambhala tha
Aur pet se machli ke
Yunus ko nikala tha

Moosa ka asa tu hai
Isa ki dua tu hai

Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai
Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai

Wallah payambar bhi
Kya khoob diya tune
Humko aye khuda apna
Mehboob diya tune

Imaan diya humko
Sadqe mein muhummad ke
Quraan diya humko
Sadqe mein muhummad ke

Humpar teri rehmat ho
Sadqe mein muhummad ke
Hasil hume jannat ho
Sadqe mein muhummad ke

Rakh laaj sare mehshar
Sadqe mein muhummad ke
Maula ho karam hum par
Sadqe mein muhummad ke

Kab humse juda tu hai
Har dil mein chupa tu hai

Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai
Hum sab ka khuda tu hai
Allah bada tu hai

Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah
Karde karam ae mere allah.

MovieAllah Bada Tu Hai
SingerMohammed Aziz, Alka Yagnik
Music ComposerSayed Ali
LyricistPayam Sayeedi
LabelTips Music

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *