Bikhar gaye bachpan ke sapne
Armaao ki shaam dhale
Kahi saje baarat kisi ki
Kahi kisi ka pyaar jale
Kah do koi na kare yaha pyaar
Kah do koi na kare yaha pyaar
Isme kushiya hai kam
Beshumaar hai gam
Ek hansi aur aansu hazaar
Kah do koi na kare yaha pyaar
Prit patanga diye se kare
Prit patanga diye se kare
Uski hi lau me vo jal-jal mare
Mushkil raahe yaha
Ashk aur aahe yaha
Isme chain nahi na karaar
Kah do koi na kare yaha pyaar
Hamne to samajha tha phul khile
Hamne to samajha tha phul khile
Chun-chun ke dekha to kaante mile
Ye anokha jahaan
Hardam dhokha yaha
Is viraane me kaisi bahaar
Kah do koi na kare yaha pyaar
Isme kushiya hai kam
Beshumaar hai gam
Ek hansi aur aansu hazaar
Kah do koi na kare yaha pyaar

